dil-e-dard se jo awaj aati hai



wo ishq hi kya jo rulaye na 

khudko khudse bhulaye na                                


dil-e-dard se jo awaj aati hai

wo awaj hi kya 

jo aap ke liye gungunaye na 


chalne ka adab hum na jane

bulbulke awaj se chalte hai  

bas ek zikr rakhte hai 


mohabbat ke rashate

dil aap pe kurban karte hai 


dil-e-dard se awaj aati hai

bas gulab hi use sunpati hai 


haqiqat baqa hai

aur sab fana 


hamari haqiqat aap ke duwae hai 

aap hamari dawa


nafs ko paak rakhe kaise 

aye! mere ruh bata


la ilaha illallah

Comments

Popular posts from this blog

The Symbolism and Science of Serpent and Ouroboros !

Heraclitus: The Brightest Star of Greek Philosophy

The Concept of Equanimity !